Wednesday, September 21, 2011

wo lamhey betain poraney


Yaado kee kitab say kuch panney ultayey hai aaj, kuch dhundali yaadey saaf kee hai aaj, uhi guzarey palo ko chahtey jab tery yaado tak pahucha to janey keyu sab tham sa gaya, laga jaisey waqt kee sui wahi rul gayee ho jasey... yaado kee pankitu say maney muskurakey poocha keya yeh main hee hoo , y life is so changable.....College say bunk markey terey paas pahana, 4 mkng u smile dancing like a joker at the streats of Canought Streats...... 4gtng evrythng...... dosto say udhar lakar tumharey saath pahli date keyu mujhey aaj bhi yaad hai, keyu merey muskurahat mai aaj bhi wo naami jo us paal nahee thee.... janta hooo hum door hai kabhi saath nahee ho paey, paar phir keyu aaj bhi mai tumsay apney aap ko judha pata hooo, keyu jab mera naam liya jata hai to tera zikar ho jata hai..... Wo gili subhah mujhey aaj bhi yaad hai jab tery nazer sharmatey huey merey nazroo say merey dil ka pata poch rahee thee.... I STILL REMEMBER TAT SHOULDER WHERE I CRIED 4M HEART  4 THE 1ST and LAST TIME IN MY LIFE......Us akhari chuhan kee garmi aaj bhi mehsoos hotey hai jab main akely hota hoo to tery hassi ko aksar yaad kar key hass padhta hoo..... nahee hai saath to keya hua paar jodey hai ajj bhi.... keya waqt hai aaj ka... naa tum merey dil mai hoo naa dimag mai phir janey keyu merey dharkan pay sirf tera hi naam hai.... huey hum barbad kuch istarh kee dil tutney kee awaz kisi koo naa aa pai.... nahee janta kee tum kush ho kee gum mai par bhi bhi band ankho say sirf tery tazweer bana pata hooo..... wo pahli baar 1000s key bech mai khada hotey huey tery tarf pahli baar bahen failna poory filmy estly mai i luv u bolna.... aaj bhi yaad hai mujhey..... tujhey door jatey dekhtey huey 100s ansoo ko roktey tujhey muskuratey huey janey dena.... wo shayad akhari shaadi thee jab mai naacha tha... ankho mai annsoo ko thamey gamo key sayey ko sambhaley tujhey kesey orr key pass jatey dekhtey huey bhi naach raha tha..... wo din yaad hai mujhey jab tuney palat key mujhey dekha tha, us waqt bhi terey ankhey merey nazaro say apney dil ka pata pooch rahee theee, wo gili muskurahat us raat kee yaad hai mujhey jo merey dil say apney ruksati kee izzazat mang rahee thee.... wo ghabray thandey hoonth mujhey yaad hai jo jatey waqt sirf mujhey ek baar dil say muskuratey dekhna chahtee thee.... yaar dost sab they dhamal machaney..... par wo akhari pal yaad hai mujhey jab wo ruki thee or mur key akar boli Tum Zinda Hoo to Mai Hooo..... Tum Nahee Too Main Nahee..... Tum Kush to main kush.... tera dil roya to mera dil waheee band..... us waqt jasey dil main bass gaya.... aaj jaab wo bhooley paalo key panney khuley to tera zikar bhi utha.... main nahe bhola kuch aaj bhi.... par janey keyu mera dil aaj bhi suna hai......Terey bina zindagee jeney kee adat nahee thee orr aaj jee bhi raha hoo or kaphi haadh tak kush bhii hooo..... par terey yaadein aaj bhi merey saath chaltee hai...... Wo betein lamhey merey ankho main bastey hai aaj bhi..... main kush hoo keyukee tujhsay dil say wada kiya tha apni kushi ka.... main zinda hooo keyuki terey zindagee dekhna chahta hoo... bin miley keyu tujhey dekhna chahta hooo.... keyu wapas tery khandey mai sir rakh key rona chahta hoo janey keyu...... wo lamhey aaj bhi yaad hai mujhey....

Rah Mai Chaltey Chaltey


 Rah mai chala na tha kabhi mai akela, they merey saathi kai nayey to kai puraney, har modh pay ,theee nayee manzilo ka safar, thodey sey gum orr bahot saree kushiyan, ek asoo ata nahe key they kai haath use poch nay key liyey, na kabhi socha tha hazoro kee bheed mai aaaj Akeley chalna padheyga, har modh pay ek naya safar hota tha churu, jasey zindagee ruki thee nahe kabhi kisey pal, har pal ek nayee yaado ka gharonda banta tha, kuch kahtee kuch metey yaddo kee khidhkiyu say aney waley kal kee kushiyu ko dekha tha mainey kabhi kisey ghadee, waqt dekhney key liyey kabhi mujhey ghadi kee zarorat padhtee thee nahee , tera charey ke muskurahat mujhey  subh ke kiran say mulakat karatee thee, terey bhigey balo keen num bondey aksar mujhey subh  geley pato pay padey ooss kee yaad dilate thee, terey payaree see muskaruhat mujhey aksar mujhey sham ka waq diklatee thee, trey masoom see thankan mujhey raat kee yaad dilate thee, tery palo ka bhari pan mujhey chand key dastak pay chandani ke moujodgee ka ehsas dilatee theey, kai modho mai say ek modh terey dil key galiyu mai jatey they jiskey hare k chauk pay terey maujodgee ka parchahey chodey jatey thee, jot u na miltey thee kabhi yahee pay to terey kadmo key nishan dhonta terey tikhaney pay pahuch jaeya karta tha, kuch lafangey dost rahtey they saath merey aksar, jinhey tu na pasan kiya kartee par kabhi keh nahee patey thee, terey khamoshi terey merey dil mai kho janey ka ehsas dilate thee, is dil mai rahtee thee isey apna ghar man key janey kitney sapney basaey they isn rahoo pay uhi chaltey2 humney, kabhi na dekha tha pechey mudh key keyu terey akho say kabhi nazrey hathee hee nahe kabhi uhi merey, mery subh kuch lafango key saath shuru ho key terey baho mai khatam hotey theee, they kuch dost apney bhi esey jo rahey harpal saath iss bheedth mai pal pal saath uhi esey hii, jab bhi mai thakha hota tha, mayusee ka nakab udey hota tha jo terey godh mujhey aksar maa kee yaad dilate thee, wo naram chotey2 say masoom haath jab garam tail giley huey merey balo mai firtey they to jano pory duniya muthee mai ajaeyey esa lagata tha mujhey….