likho jo wo kitab aaj mainey pakadee hai, thodee see ghabrai hoo or bahoot sharmai hui hoo
jo kal they parayey janey keyu lag rahey hai janey pahchaney say, mera babul keyu mujhey lag raha kuch paray say,
Lal Rang kee chunari ode khadee hoo mai , haya kee moorat bani hoo,
sharm key achal say simti is bheedh mai akeli khadee hoo mai,
charo or kushiyu key shor mai keyu asoo say gili khadee hoo mai ,
keyu apno ko chod parayo ko apnaney ko taiyar khadee hoo mai ..
Ghano Say Ladi ek soney kee khan bani hui hoo mai
khoobsoorat to nahee hoo mai par keyu aaj shringar rass say bhari hue hoo mai
Lal raang key suhag key jodey say liptee hoo mai, ghano say kuch sajee hui hoo mai
Hoto mai Lal Lai lage hui hai jino ko mai ghabraey hue apney danto key beech dabaey huey hoo mai
jo nazarey thee na kabhi jhokhee aaj jane keyu sharmaey hue neche jhokhee hai
main dartee nahee phir bhi keyu aaj mera dil ghabraya hua hai ,
keyu mai muskurahat ke chadar odey apney dar ko chupaey muskuratey hue khadee hoo,
keyu ankho ko mainey kajal say sajaya hua hai mainey aaj, keyu mathey mai Chandra see bindee lagaee hui hai
in kaliyu mai aaj chudiyan pahne keyu mand mand muskuraey khadheey hoo,
jin pairo mai siwaey joto key kuch orr na pahna tha keyu aaj payal dali hui hoo,
gogi nahe hoo par phi keyu mery awaz key bajay marey chudi or payal bol rahee hai,
kaley ghaney baal jo kabhi uljhey tutey rahtey they unhey keyu kali choti or parandey mai sambhaley hue hoo mai,
kabhi apney angan key sifaey kisey or kee dalheez key barey mai socha na tha, pir keyu aaj apna agan chondney ko tayar khadee hoo mai,
kabhi kisey ladkey ka zikar dil nay kiya tha nahee phir aaj keyu mai kisey kee mahandi sajaey usmai uska naam likhey khade hoo,
keyu jo nam aaj merey hatho mai hai keyu uske main mulakat apni dil say karwana chahti hoo,
uu to hazaro kee bhedh mai bhi badhak mai kuch bihi bol jate hoo, to aaj keyu akhey hai num or zuban mai khomoshi kee chadar lapatey hue khadee hoo mai,
kaal tak thee jo baratee aaj kasey dulhan banney ja rahee hoo, keyu apney babul ke ladali say kesey kee bahoo baney ja rahee hoo,
aaj keyu apna maan sambhaley kesey orr kee dahleez kee zeenath baneyko tayaar hoo mai,
kushi itnee hai kee asamn mai udna chahtee hoo mai par keyu babul kee mayekey mitti say jodhi baithee hoo mai ,
kush itna hoo kee najaney keyu maery akhey num hain, apney anagan chod key aaj mai parae honey ja rahee hoo,
chor nahee hoo par najaney keyu apney hi ghar say apney yadain churaey ja rahee hoo,
Maa kee dant, Papa ka dular, bhai keen ok jhokh, dosto kee mahphil, apna phala crush
sab ko pechey chod unke yadien churakar bhag rahee hoo mai, par phir bhi keyu is bheedh mai khadee dikh rahee ho mai
chalchalta ka daman chod kar keyu ab samjhdar baney ja raheee hoo, azad panchee thee mai par keyu aaj zimadariyu ke kadi mai bandhney ja rahee hoo mai,
gol2 ghomney say mujhey chakar athey hai, aag say dar lagta hai mujhey, phir keyu kesey anjaney key saath saath pharey usi aag key samne laganey ko taiyar hoo , hawa num hai, mery zulphey baar2 merey ghunghat say girtey hue galo ko choo rahey hai , phir bhi keyu paseney say nahey hui hui hoo
aaj apna sab kuch kho kay kuch naya paney key liyey tayar ho rahee hoo mai, …………………………………………………….
apney dhuley key lieye dulhan baney ko tayar ho rahee hoo mai, uskey ghar janey ko baikarar hoo rahee hoo
janey keyu bagano key desh mai jakar sabko apnaney key tamana karte ja rahee hoo, janey keyu dulhan ho kar bhi sab say daree phir rahee hoo,
keya kho rahee hoo or keya paa rahee hoo nahe pata mujhey par is lamhey ko apney zindgee ke kitab mai kaid kartey ja rahee hoo mai
sajhi hui apney dulhay key dulhan baney ka intezar kar rahee hoo mai, kab wo ghode chadh key ayey or mujhey apney sapno key mahal mai lakar uske rani baney..
janey keyu uski dulhan baney ko main marey ja rahee hoo……
No comments:
Post a Comment