Tuesday, December 8, 2009

जाने केयू

ना जाने क्यु हर एय्ने मे  अपना अक्स धोंद्ता हूँ, जाने केयू तेरी ही आँखों मे ही अपनी एक पहचान ढूँढता हूँ , खुशियों का पता नहीं  पता  और  ना ही गमो का , मुझे तो सिर्फ तेरे दिल का पता  मालूम है  तभी अपना घर होते हुए भी तेरा दिल के कोने मे रहना चाहता हूँ , मुझे शायद याद नहीं की मेरी तम्मना कया है पर जाने क्यु तेरी आरजूओं का पता याद है , दिल कया धड़कन
क्या नहीं है पता मुझे पर फिर भी जाने क्यु अपनी धरकन मे अक्सर तेरी धड़कन को महसूस करता हूँ ,  जाने क्यु अपने साहिल मे तेरी कश्ती तलाशता फिरता हूँ , अपने अशेयाने मे जाने कयू तुझे  धुन्दता फिरता हूँ, लोगो  ने  मुझे पागल कहा कई यो  ने दीवाना , तो कई सिर्फ हस्ते हुए आगे बढ़ गए , पर जने केयू मे तेरी चोखट से आगे ही ना ही  बढ़ पाया .

अक्सर लोग कहते है की दिया तले अँधेरा  और चारो तरफ रोशनी होती  है , मे तो सिर्फ इतना जनता हूँ की मे मेरे दिये की लो  तुम ही हूँ . वैसे  तो मे चोर नहीं हूँ पर एक चोरी करना चाहता हूँ , तेरे  गमो को चुराकर अपनी खुशियाँ  देना चाहता हूँ , ना आगे ना तेरे पीछे  बल्की तेरे साथ चलना चाहता हू , जाने क्यु तेरी  आँखों  से तेरे  दिल की कताब पढना चाहता हू , जाने केयू  तूझे खुशियों  के पर देकर अरमानो का आकाश देना चाहता चाहता हू, जाने केयू तेरी  चाहत को अपना मकसद बना चाहता हू
जाने क्यु तेरे आईने मे अपनी खुशियों का अक्स देखना चाहता हू , जाने केयू  तेरी अखो मे  अपनी पहचान धूनडना चाहता हू , जाने केयू अपने आप को तुझमे तलाशना चाहता हू .
 जाने केयू?






,

Monday, November 23, 2009

Tera Pata~Mera Dil

Shhakh say Tutey Darakhat say Pocha,Gili Mitti kee Bhinni Mehak say pocha,Taza subh kee gili oos ko jab mainey terey barey barey mai zikar kartey suna to mery mulakat mery dharkano say hoo gayeeshayad wahan pay dillagee bhi thee wo muskurai or pocha mujhsay keya uska pata chahey to mainey dheeme awaz say kha haan , to wo sharmai or agay chalee gayee, main kuch paal wahi rukha, thoda sa confuse tha mai shayad, phir kuch kadam agay bhadha jahan merey mulakat phoolo say hui, jab mainey unsay tera paata poocha to wo bola mery beti kushboo uske achi dost hai aksar dono ka saath ana jana rahta hai shayad usko kuch pata hoga, tuti phooti himmat jodh key mai kushboo say mila jhan humney tumharee kai batein kee kuch kisey merey to kai khaniya uske, dekhtey dekhtey waqt kab nikal gaya pata nahe chala, par jab mainey ussey tera pata pocha to usney mery mulakat kanto say karwai, kanto nay bola uska shayad ek dushman hai dard shayad uskey ghar pay tumhari uske mulakat ho jaey, main mann hi mann socha nahe tujhey whan nahe hona chahey par phir bhi tujh say mileney key lalach mujhey dard kee dhaleez tak lay aya, par jab mainey darwazey pay dastak dee to whan mery mulakat do bahno Gum or Ansoo say hui, dono boley nahe tu yahan kabhi nahe aye, to phali barr tujhey whan na pakar dil bahoot kush hua or mery mulakat muskurahat say karwadee, par phir mai dard key ghar key kinarey baitha tab mujhey whan mera sabsey pyara dost hosla mila, jisney kha cholo sachaee say milkey atey hai usey sabkey patey maloom hotey hai, hum sachai key ghar pay gaye or jab terey pata usey pocha to pata nahe keyu uskey mulakat hassi say ho gayee, or jab mainey kha kee maney iska pata poocha hai hassi ka nahe to wo muskuratey hue boli keya wakai tumhey iska pata nahe maloom , zara apni dharkan say pooch key dekho, main thoda tham sa gaya orr shayad parshan bhi hua, par phir dharkan key pass gaya or tera pata poocha, ttu wo muskurai or boli ja key apney dil say poocho, mai hassa meerey dil say, esey kaisey ho sakta hai, phir bhi mai jab dil key paas gaya or uska darwaza khadkaya tab merey mulakat tujh say hui, main haran rah gaya yeh soch key mera dil hi tera ghar hai, shayad tabhi log bolteyhai kee jo kahee na miley wo terey dil mai hai... tab keya socha tha ke tera pata or is dil ka pata do ek hi hai.. Tera pata mera dil :P

Sunday, November 22, 2009

Tanhai

har taraf say tanha they hum
is duniya say kuch bezar they
kapha they yeh zindgee mujhsey
naraz tha har insaan mujzey.

Zindgee tham si gayee thee
ek sukhey pathey ki tarah
ek pathjar si zindgee merii

phir kuch smabhala mainey
bikarey pato ko, aaso ko
pani smajh kar musuru diya smajo

har kisey ko apna dost bana liya humney
maut say kee bewafai hum naey aur zingee ko apnaya
pata tha ki yeh zindagee daga baz hai
ek din dhokha degeyee. omr bhar ka gum daegey..

sab nay mujhey mery kareb akar chodha
sab ney mujhey tab tak chaha jab tak
unko mai smajh aya , jo smajh gayey
to pagal smajh kar chod diya

har pal har ghadee jinko maney apna smajha
uney hi mujhko har mod par akela chodha
jin jin say phoolo ki umeed thee unlogo nay
mujhey kanto ka haar pahnaya ,

Zindgaee ki sachaee bahoot paheley smajh gaya tha
par kisey nay mujhey muskurakar phir rulaya ,
to kisey nay zindgee bhar ka gum daker tukhtaya

rota hoo par phir kush hoo keyuki aaj phir mai gira hoo
ar maerey saath koi nahee jo mujhey thamkar uthey,
phir keyu mai kush hoo, keyuki ab bhi mai zinda hoo..
is dil key hazar tukarey ho chuchey hai par phir bhi
har tukarey mai ek nayee dharkan hai jismey phir ek honey
ki umeed hai....

mai aaj phir gira hoo or sambhla hoo ,
meri kastee aaj phir kisey kiney mai dobhi hai
jahan par is bar pani tha hi nahe..

aaj phir mai akela hoo par akela nahee, keyu ab
bhi kuch himaat bake hai, tuta hoo par bikra nahee
keyu mujhey ab bhi kuch sasey bake hai ....

mai jeeta nahee mai hara hoo par phir bhi kadam merey
larkharey nahee..
keyuki mai janta hoo ki isey ka naam zingee hai jismai kabhii
dhoop hai to kahee chaw hai..

A Coversation With Chand

raat ke andherey nay chand say kuch kaha, bhigi inn nigaho na palko ko chua orr bakrar lamho nay mujhey yaad kuch dilaya, beeti baato kee un lamho nay mujhey kuch rulaya , aaj mery baho mai yeh jahan kuh sama gaya, muskurahto mai yuu keyu gaam samaya, raato kee chandi mai keyu yeh andhera aaya , din key ujaley mai keyu yeh badlo ka ghana saya ayaa , merey har labz mai yeh"keyu"smaya,raat key andherey, raat key andherey mai yeh chand keyu muskuraya, assoo mai yeh khoon keyu bah nikla, dil kee dharkan say keyu ek naam bhar nikal gaya, haar mukurahat say keyu tutey dil kee chavi dikee, keya galtii thee jo mainey yeh paya, saath khadha bheedh mai keyu apney ko akela hi paya,raho mai meri har bar keyu modh ek naya saya aya,ek haath mai keyu ek haath nahee paa saka, keyu dosto kee galiyu mai mainey dushman hi payey keyu shannti key ghar mai ashanti ko hi paya yadho key jharokey mai keyu andhery ka saya paya,khubsoorat ghar mai keyu mai kaley nishano ko paya,keyu mainey needo mai unchey sayu ko hi apney saath paya, sukh key ujaley kee barih mai mainey gamo kee chatree ko apney saath paya, keyu phoolo key saath kato ko mainey apney daman mai payey,keyu aaj uglti dhoop mai mainey gamo kee sardi ko paya akasar mainey,khoon mai bhi mainey namee paee keyu mai ney yeh nahee samjha ab tak mai,, yeh keya paya mainey,keyu merey yeh gali roo uthtee hai ja u chand muskurata hai,raat ke andherey mai chand nay kha mujhsey pyarer keyu andherey kee chadar lapetey hoo pyarey agey dekho mai tumhara intezar kar raha hoo, apney ande dekho shayad kahee mai bhi hoo, pahchano usey or agey mari oor badoo, yehii zindgee hai, aaj tumhara hai kaal ko phechey chodo or aney waley kaal kee taraf ana kadam rakho, yeh bhedh mai akeley chaltey huey bhi tum apney dil key saath hoo , kushi nahee to keya gamo ko hi apney dost man kar usmai kushee key sayey ho talasho, keyu tu dekhta hai pechey pyarey agey key kaal ko dekh or aaj kee namee ko sukha,chand nay mery raat say kha keyu lapety huey hai.....

pyarey agey dekho mai tumhara intezar kar raha hoo, apney ande dekho shayad kahee mai bhi hoo, pahchano usey or agey mari oor badoo, yehii zindgee hai, aaj tumhara hai kaal ko phechey chodo or aney waley kaal kee taraf ana kadam rakho, yeh bhedh mai akeley chaltey huey bhi tum apney dil key saath hoo , kushi nahee to keya gamo ko hi apney dost man kar usmai kushee key sayey ho talasho, keyu tu dekhta hai pechey pyarey agey key kaal ko dekh or aaj kee namee ko sukha,chand nay mery raat say kha keyu lapety huey hai isko jab tera saathi mai hoo to keyu iskey ujaley dhak raheee jab din kee dhoop iskee raah tak rahee hai, zingee bula rahee hai bahey phaley uskey agosh mai samao , apney gamo key sahey ko gamo ko apney chahat keen aw mai raat key andhere key kenarey key sayey kee taraf ruksat kar do, agey khushiyu key sayey shayad kisey modh mai shayad kisey ka intesar kar rahey hai ab yeh tum par hai kee wo kes tum ho kee nahee nay tum par nirbhar karta hai kee kis modh par tumko jana hai aaj tumko, chand kee thandi chandni o din keen narm roshni or subh kee oos namai merey kan mai zindgee raag kush is tarh gungaya..
kee aaj mai apney kal ko chod kar apney agley kee kaal kee taraf bad hutha hoo, us ajanee modh kee taraf jhan mera kushiyu ka saya shayad intezar kar aha hai.

Kabhi Alvida Na Khana

Rahain badulteen hai, dar bhi badlety jate hein,
aksar is tez rafter shahron mai logo ke khyal bhi badal jatee hein, Doston, khudha se meri bus itani see inayat hai, yarab !
apake dilon mein humari yaden bus yoonhee salamat rahey,
akho mai nami ho orr dilo mai ehsas rahe,
baz aukat apki e-mail se rishta ye barkarar rahey..

Doston, jindagi ke is safar mein kuchh pal sath chalethe huye hum us modh per a pahunchen hein jahan say humaree rahey alag hoti dikh rahi hein.

Tum chlae jaoge to sochenge
Hane kya khoya humne kya paya.
Zindagi dhoop seniors Ghana chyan.

ai par mazil ka mukumul jahan wohi raheyga jo kahi humney saath dekha tha kabhi, suraj ki lau kee tapish say nikar likaley ho ,humey thandi chav key latkey detey huey, par humko agey ana hai orr tumhari jagah leney hai, taki hum wo kar sakey jo apney kabhi chaha tha humerey liyey,

kuch junoon kuch ahsas hai humere dilo mai yaron
bayan karney ko jinko lafzon kee zarorat nahee
ankho se bayan ho jayega kissa sara .
Bus apki nazre inayat ka khel hai sara..

rahon , modh, galiyan men milne valon, chahye jo bhi kuch badlo,
par yeh yaad rakho
ke pechey koi aapkey khada hai,
jo aapke kadamon ke nishanon pe chalna seekh raha hai,

abhi kadam hai chothey dagmaga rahen hai,
dhung say chalna nahee ata Chalana seekh rahe hai
par daud pane ki lalak hai dil men

nazar nahee hai kamzoor abhi ,
daud tak aapko padh saktey hai, aagey bado par “Kabhi Alvida na Kahna”, keyuke hum to apkey dilo mai apkey saath chal rahey hai inhi raho mai kahi, jism saath na hua to keya ,kuch yadein rangeen lakar saath tumhare peechey chal rahey uhi……..

Kabhi Alvida Na Khana
Kal tum is duniya ki daud me kho jaoge
Bahut age nikal hum sab ko bhool jaoge
Par do ghadi ke liye jab kabhi mazi men lotoge
Hume isi tarha apne pyar me dooba paaoge.


WE DON’T KNOW WHERE U WILL BE NEXT, WE DON’T NOW WHAT IS LIFE FOR YOU, WE DON’T KNOW WHAT DO YOU FEEL FOR US, WE EVEN DON’T KNOW WHAT V CAN DO FOR EACH OTHER, BUT ALL I KNOW IS THAT V HAVE AN HOUSE WHICH RESIDES IN UR HEART, V HAVE A SMALL PLACE OVER THERE WHICH WILL KEEP US ALL TOGATHER FOREVER, V HAVE OUR SHARE OF TEARS AND SMILES AND SO DO U HAVE , V MAY NOT WALK TOGATHER, V MAY HAVE A COMMON HOUSE OF HEARTS TO STAY.
SMALL MEMORIES LIKE THE COLIDOR WALKING WILL ALWAYS REMIND US OF URS, THE SEMINAR HALL WHEN EMPTY WILL WILL SPEAK 4 UR ABSENCES
THE WATERCOOLER WILL ALWAYS REMIND US OUR GATHERING POINTS, WHICH WILL MAKE OUR EYES WET 4 A WHILE, THE TOGLING DISTORTED GROUPS OF OURS SENIORS BUT STILL ALL TOGATHER WHENEVER SOMETHING IS GOING WRONG WITH US WILL ALWAYS REMIND US UR PROTECTED BEHIVOUR TOWORDS US. A SMILE WILL ALWAYS COME ON OUR FACES WHENEVER UR NAMES COMES ON OUR LIPS. THOUGH UR LEAVING US BEHIND BUT V ALL KNOW THAT U ALL WILL STAY IN OUR HEARTS FOREVER,
V WILL MISS U ALWAYS 4 SURE...

Keyu Ki Nadan Hoo Mai

Nishabad hoo mai aaj, stabdh hoo hoo mai aaj, keyuki nadan hoo mai aaj
aakho mai name ka saar hai, hoto mai khoon kee nishan hai
Chahra masoom hai par phir bhi bejaan hai hoo mai
dikhaney mai khoobsoorat hoo mai paar dagdar daman hoo mai
keyuki nadan hoo mai….

sharer mai merey hawas key key kuch nishan hai
ruh mery maili hogayey hai , keyuki nadan hoo mai
rooj kai baar or baar baar nahati hoo mai , sharer ka maiile nikalte hoo mai par aatma ka maiil nahe nikalta, keyuki nadan hoo mai

rooj jeete hoo marney key liyey mai, jism bechti hoo mai paith bharney key liyey mai
keyuki nadan hoo mai , bhookhi rahtee hoo mai kaiyu key paith bharney key liyey mai
aasoo ko peetey hoo mai biknay key liyey mai, har shabadh mai rooti hoo mai hassney key liyey, roz neechey girtee hoo mai girney key liyey mai, keyuki naadan hoo mai ….

yuuu to chaand mai bhi daag hotey hai kai par meri churni hi bane daagoo kee
achal maila hai mera or zakhmi hai zameer mera aaj, keyu bejan pathar hoo mai,keyu nadan hoo mai…

rooz joor shoor say biktee hoo mai, esey bikao cheeze hoo mai
haar kesey kee hawas ka shikar bantey hoo mai, esey pyas hoo mai
akali hoo mai keyu ki naadan hoo mai

baap kee umar key loog nochtey hai mera jism too betey kee umar key loog bechtey hai bazaar mai mujhey baar baar kai baar, asso key chadar mai sooty hoo mai , dard key kapdey pahtey hoo, pal pal mai apno key liyey utertee hoo mai , rooz lutney key liyey taiyaar hote hoo mai, keyuki nadan hoo mai..
chahney waley kai hai merey paar apnaey waala koi nahee, betey kahkar sar pay haath pharney wala koi nahe,aasoo pochkar galey laganey wala koi bhai nahe mera, humko bhi insaan smajhney wala insaan nahee hai yahan pay,keyu ki mai nadan hoo mai…
phool hoo mai par rooz raat ko rondhi jatee hoo, roz mahaktey hoo mai badboo daar honey key liyey
haar lamho mai merey aaso kee barish hai or dard kee chhath hai , yahan merey duniya mai har ehasas bikta hai , uskee boli lagtee hai,zitney zayada boli yeh jism uspal key liyey uska,jesey zism nahe koi khaney ka saman ho yeh, rooz raat looti hoo mai khana khaney key liyey,keyuki nadan hoo mai.
kahtey hai kee haar raat kee subhah hotey hai paar mery zindagee hi shuru hotey hai raat say,ismai diya kee low nahee to din ka ujala khan,safeed chadar mai kali shayi lagaye rahtee hoo mai , keyuki nadan hoo mai…
gairoo say keya shikayat karo mai jab apney hi is bazaar mai merey kapdey utrwatey hai, unko keya kahoo jo apney ho kar mujhey lootey hai, unko kya kahoo joo mujhey bikta dekh kar bhi khana kha patey hai, unko keya kahoo mai jo mujhey loot ta dekh dukhi to hotey hai par kartey kuch nahee, ghar ka beta hoo mai par naam roshan nahee, ghar kee roshni hoo mai par kudh anderey mai jeetey hoo mai, haasti hoo din bhar raato mai par andar say haar pal maar maar key roti hoo mai, keyuki nadaan hoo mai….

bhawar mai fassi ek mamoli insaan hoo mai,ek looti hui hii sahee par ek insaan hoo mai
tutey huey gahdey ka bahta pani hii sahee par ek insaan hoo mai,waqt say hari ghadi hoo mai,par ek zinda laash hoo mai,dard say bhari sheeshi hoo mai,ziska dhakan kudh dard hai,akali hoo mai par sath hai kai loog merey,keyu ki naadan hoo mai..
keya kahoo apni vayatha ab mai , har ladki ka armaan hota hai suhagan baney ka ,par mai to har rooz bantee hai,ek raat kee suhagan hoo mai par patnee nahe kisey kee,rooz sootee hoo mai kanto key bistar mai,dard kaa sirhaney liey aasoo key pani key saath,keyuki nadan hoo mai…
bikao zaroor hoo mai,par hoo to mai bhi ek insaan,na karo nafrat mujsay,ek bhatki hui majboor insaan hoo mai, ab naadan nahe par ek hari hui hasti hoo mai,phir bhi kaho mai nadaan hoo mai…

aaj phir dil akela hai

aaj barso bAAd bhi keyu dil mera akela hai, keyu kahee bhedh mai khada bhi apney ko akela pata hoo, keyu aaj merey cherey mai muskurahat or dil mai aasoo ka sailab hai, keyu aaj dosto kee mahfil mai mai bhi ek khandha bhi nahee merey paass,keyu aaj kesey key saath keey zaroorat hai, akhela to mai har pal tha phir aaj kesey kay dhokhey dil ko keyu chot lag rahee hai, kabhi to yeh socha tha mainey kee koi dard ab merey dil ko cho nahe sakta to phirr keyu wo pora dard di key koney mai uthey hai, keyu aaj mujhey phir roney kaa mann karta hai, aaj phir keyu khushiyu mai mujhey sad song ganey ka man karta hai, keyu aaj sawal pochey wala aaj ek sawal baan kar rahgaya hai, kabhi socha tha kee apney gumo ko ek pyari see muskurahat say see kar rakh doga mai jo kabhi akho say bhar nahee nikal payeygey kabhi, to phir aaj yeh wada kesey tuta keyu aaj cherey mai muskurahat nahee hai , keyu is is muskurahat key pechey kee siskiyan aaj merey dil say bahar merey charey par aa gayee hai, aaj keyu mijhey say yeh dard bardash nahee hota , aaj maut mangana chahta hoo par kismat to dekho marr bhi nahee sakta keyu koi hai isdinuya jo jita hai sirf merey liyey. zinda hoo to sirf us sayey key lieye jo sirf merey liyey hi mera saath dey raha hai. par phir bhi keyu is shehey key aleeshan mahal mai dil akela hai kahee..
aaj phir dil mera akela hai keyu ?

Tudey Dil Ke Adhurey Rishtey

jeettey they kabhi hum har chotey badee jung
thamey they har kushi ka jaam har pal har ghadi
jeet nay kee shayad adat ho gayee thee par aaj
pal 2 pal ke jeet ka bhi bharosa nahe ,
arsa hua jeetey huey, ab to haar bhi humsay jeet gayee
jo kabhi kushi key jaam piya kartey they aaj unkey haath mai
paigamey dard ka payala hai,tha kabhi muskurat ka payala hoto par
kabhi, par aaj asoo kee barish say hooto kee sukhan alag hotey hai
dil jo kabhi phoolo kee mahak say bhara hota tha, aaj usi dil mai usi ke
kantey rahey hai, jo kadam kabhi jeet kee manzil kee taraf taz raftar say daudtey
they , oy aaj 4 kadam nahee chal patey hai,zindgi itni tez bhagee kee hum kesey modh mai
kahee pechey choot say gayey, jo kabhi din kee roshni or chand kee chandni apni
khaas dost hua kartee thee paar aaj to suna akash or Amawas kee raat apni andherey chadar
mai merey asoo ko dhakey huey hai, jo kabhi kesey key nashey mai bhi kabhi gira nahee karta tha
aaj wo itney nashey mai hai kee khada hona muskil hai, jeskey muskurahat mai kabhi sher to kabhi gazal niktee thee tee
aaj usey lawzo mai gam kee barsat hai, shakal mai jiskey kabhi jeet kee roshanee jhalktee thee,
aaj uskey charey mai mayusi kee chadar hai, aaj to uskee hasee mai bhi dard kee inteyhahi zalkatee hai
ek todey dagey key saharey khada hai wo ek modh par aaj bhi, shayad kesey key wadey kee darar ney
uskey haqeekat mai daraar daldee, par ey emam ey mohabat to dekho ashique poorana sahee par nasha taza ha
zakham kaphi purana par dard ab bhi taza hai...

shayad isi ko tutey dil key adhorey rishtey khahtey hai...


keyu aapka keya khayal hai:)

Kesey Hai duniya

dil key darkh pay diya tha daskat diya tha mujhey kisey anjaney nay
mai murkh smajh baitha usko apna koi, aasoo batorey mainey uskey kai
dastainey suni sunai gayee poori shiddat say, kuch lamhey kuch pal kaid kiyey
muthee mai yeh soch key kee wo merey hai, par ajeeb bawkoof bana mai bhi ,
yeh bhool gaya kee pal to mithee ke raith say bhi tez haath say phisal jatey hai
mithey kee phislan ko to hum dobara utha bhi saktey hai par un betey lamho ko
kesey batoru wapas jahan merey kuch paal atak gayey hai,
us ajnabi ko humney apna socha usey apna humdard smajha, par wo to 2 pal ka mehmaan nikala
najaney kab dil mai aya or bina batay dil key gale say nkal gaya , phchey murkey dekha ya na dekha
nahe janta, wajh keya thee nahe janta, hauq hai yeh berukhi janey ka par haque nahe, yeh kesi uljhan hai
yeh kesey duniya hai, kesey hai loog, aaj humerey dil key paas to kal unkey pairo ke bhi nishan nahe miltey
keya james bond key uladein, ek mision lakar atey hai r poora honey par agay chal detey hai,
zasbaat to jesey kisey bazaro aurak ke utri chunri say bhi zaya challi kiyey huey hai
wo to apna paith bpalney key liyey biktee hai ,wo apno key liyey kudh ko bay abroo kartee hai
par yahan to kuch log anjan bankey akar apkezindge apkey dil mai apna ghar banatey hai,
us ghar mai ek chotey say sapno ka ghar banatey hai or maksad pora honey pay usey nichey girey huey phool
ke tarah masal key chaley jatey hai, kesey ky arman kuchiyu ka khayal nahe rakhtey , arey kesey janwar key sath bhi koi rahey
to usey ussay pyar ho jata hai, par yahan to acha khasa waqt bita key bhi log daga dey jatey hai,
kesey hai yeh duniya ,kesey hai yahan key log, apney apno ko bechtey hai ,
kesey kise ko rota dekh key koi roti key niwaley galey say utartey hai ,
kesey kisee ke abroo lottey kush hotey hai,kesey kisee kee chunar mai daag laganey ko mardangi kahtey hai
manta hoo bazar mai biktey hai chese aksar par keya logo key saath unkee bhavnaey bhi biktey hai

aaj bikney mai sabey no1 cheese zameer hai., kis tarah koi apna zameer bech key apnay pariwar ka
paith pal pata hai, kesey koi kisey masoom kee jaan lay pata ha, kesey ek massom key haath mai
AK47 pakra key usey ek zillat bhari zindgee tohfee mai dee jatey hai, kesey ek massom bazar mai gajar moli kee
bhav mai biktey hai, baap bhai kee umar key log kesey loop patey hai ek kache kali koo
kesey loog begunaho kee bheedh mai bhayanak maut dharm key naam, azadi key pay zaya kar deta hai
keyu ek beuban ko bali chadaha key apne kushiyu kee dua maan pata hai, koi kudha,bhagwan, guru ya
grandh yeh nahe kahta ke tum mujhey bali doo or mai tumhey kushiyu ka ambar donga,
kis duniya mai hoo aaj yeh duniya nahee thee esey kaal, mai nahe janta keya hai par yeh janta hoo
yeh kuda key baney zeenat nahe hai, bhagwan nay isey badi kubsoorati or naik niyat say, aman or shanti
key fitrat say insan banaya tha, taraki kee niyat say insaniyat banyee thee, par abb sab khatam
kesey hai yeh duniya, kesey hai log yaha, har waqt pay koi na koi kahee na kahee bikta hai
koi kushi say to koi majboori say, keya bikao duniya hai orr yahan rahney waley,
keya merey maulla keya tuney isee liey mujhey is dharti pay beja kee yeh sab dekh sako mai,
to mai apsey mafi manta hoo kee agley janam mai mujhey is duniya mai naa bejna, mujhey maaf karna
mai yahan key layak nahe hoo, mai itna nahe gir sakta jitney yahan log roz girtey hai,
yeh duniya banakey apney koi galte keee par maulla is duniya mai insaan bana key bahoot bade galte kar dee apney
mujhey maaf karna ey duniya walo , yeh mahfil merey kam ke nahee
kesey hai loog yahan kesey hai duniyan yahan.

Golden Days Of My Life(Sunheri Yaadain)

ek kitab hai poorani merey pass
jismai yaado key kuch panney hai
kuch geeley hai aasoo to kuch sookhi kahanee
padheo kee shakh pay naam wohi pooraney
aaj bhi yaad hai mujhey, jindagee badh chali agey
pechey chodey kadam kuch pooraney,
aaso nahe kuchiyu key lamhey jo betey uhi
yaad hai mujhey ab bhi wo
ghubratey huey pangey leena, or agar koi laddki mukuray to
sharma key baag jana, school key sedhiyu key nechey kadey hokar nautanki karna
ek scotter mai 7 logo ka baithna or poorey shahar mai ghumna,aaj bhi yaa hai
paidh ke upar chadhar kar I love you ke signs sabkey mitana,
duniyabhar key love triangels solve karna or apna kabhi start hi nahe honey dena,
Madhulika say pangey lena , to neelabh kee band bajana, fast gadhi chalana or every weekend key baad haath mai
yaa phir pair mai patiyo mai bandh key ana,
rol Model banna but vilen ban jana, karney gayey kuch or kar key kuch ajana
tusion mai jatey huey sadak mai nautankee karna, exam mai paper mai kaam orr bajoo waley pay dhayan zayada dena,
dosto ko cheating karwana or kudh hi fass jana,
takal ka mazak udana, uske 9 betiyu key honey key bavjoot pariywar niyujan par bhashad dena,
yaad hai mujhey pahley baar stage mai kavita sunana wo bhi angrazi mai, ritu mam key pechey pechey ghumana
yaad hai mujhey, kai saal beet gayey dhool key chadar udey huey par phir yeh yaadien sunharey
tazi hai dimag mai jesey subh ke oos harey pato pay,
pechey dekho to muskurahat or kuch dard dikhtey hai,wo waqt bhi tha jo wahi ruk gaya
or yeh waqt bhi hai jo badh gaya agaey kahey , pechey chod un haseen palo ko kahey..
wakiey mai yadei hotey hai anmol, kabhi hasati hai to kabhi rulla tee hai,
jab bhi bench dekhta too to sabsey pahley akhil yaad aata hai, kee kesey chair kech kar usko girao
time time will always be moving ahead no matter wat happens it wont stop 4 ny1 but do leaves traces of beautifull memories on the road
of 4 chambered heart.
4get everythng but never 4get wat u have been through as because of them only ur there wat ur now:)

HUM TUM

Ashiquee ke zuban bolte hoo aaj, apna dil tumharey samney kholtey hoo mai
Dil key darwajey kholey hai sirf tumhareyliyey aaj , iss dharkan ko sirf tumharey lieyey dharakney izzazat dil hai mainey , mazi(means past) nahe hai mera koi terey sivay,
Sajdey kiyey kai hazzar khuda key darbar mai sahee, tha mujhey yeh yakeen maula
Merey hogey mujhpay jaan nissar or is pakeesa zindgee mai ek nake dil dilbhar bej dengey zaroor…

Barang see safaid zindagee mai aaj tumharey wajhah say rangeen khwab basey hai.
Kudh say zayada tujh pay yakeen hai, apney dil say zayada terey dil pay yakeen hai,
Jo tum na hotey is zindagee mai humarey to kab key bazaar ho chukey hotey hum is jahan say….

Ab to alam yeh hai humara kee kudh ko khudh say churaney ka dil karta hai, apney aap ko tumherey hawaley karney ko jee chahta hai, awaz deno ko jee chahta hai, ab to doli chad key terey ghar aney ko jee chahta hai, yaara merey yeh tuney keya kar dala kee apna naam leney say pahley tera naam yaad aajata hai.

Dil mai panah mat do mujhey yaara merey, mai to tery nazoro mai apna basera sajana chati hoo
Ashko ke kinarey apney chote see duniya basana chahti hoo, terey sarey ashak ashiyaney mai sajey
Marey, orr mery sarey khusiya sajey terey chahrey mai, bas ab to yehi dua karo kee sang terey hi jiyu or
Apni umar bhi tujhey dey jao, tanha ab rahtey banta nahee terey agosh mai najaney keyu zindagee guzarney ko jee chahta hai….

is anjan sahar mai

is anjan shar mai har koi paraya lagta hai
najaney keyu apno key beech bhi sab begana lagta hai
asoon kee barish mai najaney keyu rahney ka mann karta hai
hai sab saath merey par bhi keyu akeley rahney ka mann karta hai
miley kai saathi kai modh pay phir bhi akhela rahgaya iska afsoon porana sa lagta hai
hazaro kee bheedh mai keyu kho janey say darr lagta hai, apney mazi say dostey karney ko jee chahta hai, najaney keyu apney aney waley kall say zayada acha beta hua kll lagta hai,
gulab key phool to sbko pasnad hai par najey keyu mujhey nagfuni key peeley phhol apney lagtey hai, kushi key ehsaas say zayada gumo ke dhoop apni see lagtee hai
mai zinda hoo pata nahe keyu zinda rahna ka ehsas lagta nahe, kush hoo pata nahe keyuki asoo kee chalawat say ab tak dosti nahee hue hai
mai keya hoo janta nahee , yahan keyu hoo yeh mai pahchanta nahee, kudh apney aap say apney honey ka ehsas manta hoo,
is khoobsoorat duniya mai najaney keyu dag dhonda phirta hoo
is anjaney shahar mai apno key beech najey keyu apno koo dhondta phirta hoo
awara nahee hoo phir keyu diwaney kee tarah parwana keyu dhoondta phirta hoo
kushiyu key sayey mai najaney keyu ghumo ke chath donta phirta haoo
is anjan shahr mai keyu anjaniyat kee talash karta hoo ,
murda logo key is sharr mai najaney keyu apno ko dhonda phirta hoo

Dosti

lamho mai betey zindagee, collge mai dosto kee udhari,
ek ladkeekey kiyey lad janey kee galtee, wo cigratee peney key liyey
chuptey chupatey phirna, darro peney key liyey koi mehfooz jagah dondney ka homework , wo luv birds key bech patch up karwana. dada bana par ander say dar jana ,
apney yaar ko bachey key liey master say kudh marr kha jana, canteen key bill pay karney key liyey ladna zhagarna, payarey cute say frnds kee kabhi2 leg pulling karna
kabhi2 apni soch say zyada soch lena ... well kuch esey hii kattee mittey yaadien dosti bantey hai wo hi dost zindgee bhar saath chaltey hai :D

Dard Ka Rishta

Zinda hoo keyu keyu kee dard mai hoo, nazarband hoo keyuke terey nazaro ka kaidee hoo , har pal tery dardkan say tery kushiyu ka pata pochta hoo, in ansoo mai basey gamo key makan mai ek kamra terey kushi ka talashta hoo, is dard say roz wakif hota hoo par phir bhi tery muskurahat kee kwahishkee guzarish usey say karta hoo, yeh dil bhi kitna ehmak hai jo dard say tery kushiyu ka pata pochta hai, har raat ko apney gumo ka basera lakar nend key ghar mai jakar yeh guzarish karta hoo kee wo tery nazro mai smaey or kuch pal apni godh mai bithaey taki kam-kam say kuch waqt tak tery takleef kam kar sako. kabhi esa karney mai jeet pata hoo to kabhi haar jata hoo, shayad tabhi to mai terey liyey ladh pata hoo. Dil ke baat zuban say nahe nazaro say kahta hoo, tery kushi key talash mai najaney keyu apney gumo ka pata bhool jata hoo. tery zindage ka hissa nahee par tery chavi ban key chalna chahta hoo, tery kushiyu ka nahe tery gumo ka pata pochta hoo is khamoshi say tery khoi awaz ka pata pochna chahta , tery bholi muskurahat ka pata janna chata hoo, takee apney zinda honey kee wajah say rubaruh ho saku or apney jeeney kee wajah ko jaan sako. tujh say tery chahat nahe mangta par yeh guzarish karta hoo ke apney nafrat kee toli mujhey bator tofey mai day sako. ab jab is dard say dosti kee hai to nibhani bhi padeygee , is dard key rishtey say aaj mai itne gumo kee barish manga too jisey dekh key tery yeh chupi tery awaz mai badal jaey or tera daman kushiyu say bhar jaey.
----Well U Can say the reason of my life is your smile :)---

Wednesday, November 11, 2009

Ek Maut Kee Chah Mai Zindagee Ke Kwaish

ek dil tha haseen mahfhil mai,bik raha tha uhi kaudi ke mool, uskey har dharkan mai kashish ka agaz tha, par usey raundney key liyey taiyaar they kuch kamzarf insaan,
haaro ke mehphil mai kuch dara hua sa, kuch ghabraya hua sa khada tha kisey koney mai , kehtey hai dil kee akhey nahe hotey par pehlee baar mainey kisey dil ke akhey dekhi,or usmai behtey asoo ko mehsoos kiya or dekha, jisey wo badee adab say sambhaley huey tha,
kuch der rukh key mainey pocha ,ey dil tu keyu hai gumshuda is haazoro kee mehphir mai or fir bhi hai tanha, toh badey koobsorti say sharmaya wo or bola janab yahan hai hazzar merey zism key chaney waley par kisey ghar kee zeenat baney wala ek shaskas nahee, sab luterey is jhan mai,koi kuch pal baith key in aasoo ay apne haath geley karne wala or bol sake hai main hoo yahan, is dil key char kamro mai sirf dard,tanhaeo,mayusi ka saath hai or har pal bikao honey ke shakseyat honey key siway koi ehsaas nahe basta, yeh dil is mahfil mai sirf  tanhaiyu key gharondey mai rehhta hua mayusi key odhani mai lipta hua ek chalti firti lash hai. uu toh phool hum mandir mai rakhtey hai pooja karney key liyey bhagwan key pairo mai , paar yahan too har raat unhey raonda jata hai. har koi darzano bar pyar ka iszar kartey hai or subah har koi apna sharafat ka potla utha key chaltey bante hai

thoda pareyshan hua mai or pocha ee dil tu yahan ruka keyu hai, keya wajah hai esey zillat bhari zandagi jeeney key liyey, dil muskuraya or thoda hassa bhi, or bola kudha nay ek cheesey dee hai or who hai paith jo har haal mai bharna hota hai. apna nahee to apno key lieyey jeena padta hai. mere ek chote see gudiya hai jiska naam "haya" hai jisko mujhey seechna hai,ek payara sa aaks hai jo mera khandha hai, mai hazzar maut markey bhi unkee hassi say hazzar baar phir phir jee othtete hoo.

phir terey jesa dost jo har waqt merey saath rehta hai,har baar jab rondha jati hoo to mujh ko samaithney ney wala ek haath tera hi toh hota hai. Is nangey rondhey huey murdey zism ko dhakney waley chadar ek teri hi to hotey hai, is murdey dil mai jaan dalney wala saksh tu hi to hai. Is bazaar mai ek tu hi to apna hai

jeeta hoo marney key liyey par maut say yeh guzarish hai ke abhi merey dahlez mai maat aana
bah phaila kar mujhey aksar bulate hai or boltey hai beta ab tu aaj mery goood mai or apna saar rakh key soo ja par jab meri gudiya ko dekhtey hai  tho kudh hi pechey hat jatey hai yeh kehtey huey kee ee aman to apne zeenat ka khayal rakhna yeh bazaar hai is mai ghosh khaney walo key kamnee nahee

nikhah keya hota hai yeh jantey nahe yahan par har raat ya ah suhag ke seejh kee raat saman hi hote hai , jismai dulhal bani mai roz loot lee jate hoo,

Dharban bani mery tu pochtey hai har baar yehi mujh say is bazaar mai kai bar bikney key baad bhi tu ghabrai or sharmai keyu hai, dil apney assoo ko liptey huey aaso say bhari zor say hastey huey bola
Maula merey ,ek tawayaf ka kaam keya hota hai , thoda sa ,adab , thodi sharmahat, ,thodi ghabarat, agar esey ghaney uskey pass nahee to koi usey kharedey  kaun, is bazaar mai, maai tabhi tak hoo zab tak meri jawani or haya hai, nahe toh orr bhi tutey tarey hai is bazaar mai.


Kuch pal rukkey smabltey huey mai bola kab tak akhir kab tak hum yahan raheygey
Dil bola,ey nadan dharkan, maa to kab say bula rahee hai, wo dekh dekhlez key bhar
Aaso ko smaetey huey bhahey phaley huey khadhee hai par zara pechey dekh 2 phool is gulistan mai ug gayey hai or is kichar mai wo merey kamal hai,unko taar loo phir aram say maa kee goood mai soo jaogee..

Dharkan muskurai or bole ke dil dekh tera khareddar aagaya hai ,chal ab ja kam par,
Dil muskuraya or bola shukriya yeh mua darr to gaya yahan say ab waqt agaya hai
Zeenat baech key roti laney ka…….