har taraf say tanha they hum
is duniya say kuch bezar they
kapha they yeh zindgee mujhsey
naraz tha har insaan mujzey.
Zindgee tham si gayee thee
ek sukhey pathey ki tarah
ek pathjar si zindgee merii
phir kuch smabhala mainey
bikarey pato ko, aaso ko
pani smajh kar musuru diya smajo
har kisey ko apna dost bana liya humney
maut say kee bewafai hum naey aur zingee ko apnaya
pata tha ki yeh zindagee daga baz hai
ek din dhokha degeyee. omr bhar ka gum daegey..
sab nay mujhey mery kareb akar chodha
sab ney mujhey tab tak chaha jab tak
unko mai smajh aya , jo smajh gayey
to pagal smajh kar chod diya
har pal har ghadee jinko maney apna smajha
uney hi mujhko har mod par akela chodha
jin jin say phoolo ki umeed thee unlogo nay
mujhey kanto ka haar pahnaya ,
Zindgaee ki sachaee bahoot paheley smajh gaya tha
par kisey nay mujhey muskurakar phir rulaya ,
to kisey nay zindgee bhar ka gum daker tukhtaya
rota hoo par phir kush hoo keyuki aaj phir mai gira hoo
ar maerey saath koi nahee jo mujhey thamkar uthey,
phir keyu mai kush hoo, keyuki ab bhi mai zinda hoo..
is dil key hazar tukarey ho chuchey hai par phir bhi
har tukarey mai ek nayee dharkan hai jismey phir ek honey
ki umeed hai....
mai aaj phir gira hoo or sambhla hoo ,
meri kastee aaj phir kisey kiney mai dobhi hai
jahan par is bar pani tha hi nahe..
aaj phir mai akela hoo par akela nahee, keyu ab
bhi kuch himaat bake hai, tuta hoo par bikra nahee
keyu mujhey ab bhi kuch sasey bake hai ....
mai jeeta nahee mai hara hoo par phir bhi kadam merey
larkharey nahee..
keyuki mai janta hoo ki isey ka naam zingee hai jismai kabhii
dhoop hai to kahee chaw hai..
No comments:
Post a Comment