Sunday, November 22, 2009

Kesey Hai duniya

dil key darkh pay diya tha daskat diya tha mujhey kisey anjaney nay
mai murkh smajh baitha usko apna koi, aasoo batorey mainey uskey kai
dastainey suni sunai gayee poori shiddat say, kuch lamhey kuch pal kaid kiyey
muthee mai yeh soch key kee wo merey hai, par ajeeb bawkoof bana mai bhi ,
yeh bhool gaya kee pal to mithee ke raith say bhi tez haath say phisal jatey hai
mithey kee phislan ko to hum dobara utha bhi saktey hai par un betey lamho ko
kesey batoru wapas jahan merey kuch paal atak gayey hai,
us ajnabi ko humney apna socha usey apna humdard smajha, par wo to 2 pal ka mehmaan nikala
najaney kab dil mai aya or bina batay dil key gale say nkal gaya , phchey murkey dekha ya na dekha
nahe janta, wajh keya thee nahe janta, hauq hai yeh berukhi janey ka par haque nahe, yeh kesi uljhan hai
yeh kesey duniya hai, kesey hai loog, aaj humerey dil key paas to kal unkey pairo ke bhi nishan nahe miltey
keya james bond key uladein, ek mision lakar atey hai r poora honey par agay chal detey hai,
zasbaat to jesey kisey bazaro aurak ke utri chunri say bhi zaya challi kiyey huey hai
wo to apna paith bpalney key liyey biktee hai ,wo apno key liyey kudh ko bay abroo kartee hai
par yahan to kuch log anjan bankey akar apkezindge apkey dil mai apna ghar banatey hai,
us ghar mai ek chotey say sapno ka ghar banatey hai or maksad pora honey pay usey nichey girey huey phool
ke tarah masal key chaley jatey hai, kesey ky arman kuchiyu ka khayal nahe rakhtey , arey kesey janwar key sath bhi koi rahey
to usey ussay pyar ho jata hai, par yahan to acha khasa waqt bita key bhi log daga dey jatey hai,
kesey hai yeh duniya ,kesey hai yahan key log, apney apno ko bechtey hai ,
kesey kise ko rota dekh key koi roti key niwaley galey say utartey hai ,
kesey kisee ke abroo lottey kush hotey hai,kesey kisee kee chunar mai daag laganey ko mardangi kahtey hai
manta hoo bazar mai biktey hai chese aksar par keya logo key saath unkee bhavnaey bhi biktey hai

aaj bikney mai sabey no1 cheese zameer hai., kis tarah koi apna zameer bech key apnay pariwar ka
paith pal pata hai, kesey koi kisey masoom kee jaan lay pata ha, kesey ek massom key haath mai
AK47 pakra key usey ek zillat bhari zindgee tohfee mai dee jatey hai, kesey ek massom bazar mai gajar moli kee
bhav mai biktey hai, baap bhai kee umar key log kesey loop patey hai ek kache kali koo
kesey loog begunaho kee bheedh mai bhayanak maut dharm key naam, azadi key pay zaya kar deta hai
keyu ek beuban ko bali chadaha key apne kushiyu kee dua maan pata hai, koi kudha,bhagwan, guru ya
grandh yeh nahe kahta ke tum mujhey bali doo or mai tumhey kushiyu ka ambar donga,
kis duniya mai hoo aaj yeh duniya nahee thee esey kaal, mai nahe janta keya hai par yeh janta hoo
yeh kuda key baney zeenat nahe hai, bhagwan nay isey badi kubsoorati or naik niyat say, aman or shanti
key fitrat say insan banaya tha, taraki kee niyat say insaniyat banyee thee, par abb sab khatam
kesey hai yeh duniya, kesey hai log yaha, har waqt pay koi na koi kahee na kahee bikta hai
koi kushi say to koi majboori say, keya bikao duniya hai orr yahan rahney waley,
keya merey maulla keya tuney isee liey mujhey is dharti pay beja kee yeh sab dekh sako mai,
to mai apsey mafi manta hoo kee agley janam mai mujhey is duniya mai naa bejna, mujhey maaf karna
mai yahan key layak nahe hoo, mai itna nahe gir sakta jitney yahan log roz girtey hai,
yeh duniya banakey apney koi galte keee par maulla is duniya mai insaan bana key bahoot bade galte kar dee apney
mujhey maaf karna ey duniya walo , yeh mahfil merey kam ke nahee
kesey hai loog yahan kesey hai duniyan yahan.

No comments:

Post a Comment