ek dil tha haseen mahfhil mai,bik raha tha uhi kaudi ke mool, uskey har dharkan mai kashish ka agaz tha, par usey raundney key liyey taiyaar they kuch kamzarf insaan,
haaro ke mehphil mai kuch dara hua sa, kuch ghabraya hua sa khada tha kisey koney mai , kehtey hai dil kee akhey nahe hotey par pehlee baar mainey kisey dil ke akhey dekhi,or usmai behtey asoo ko mehsoos kiya or dekha, jisey wo badee adab say sambhaley huey tha,
kuch der rukh key mainey pocha ,ey dil tu keyu hai gumshuda is haazoro kee mehphir mai or fir bhi hai tanha, toh badey koobsorti say sharmaya wo or bola janab yahan hai hazzar merey zism key chaney waley par kisey ghar kee zeenat baney wala ek shaskas nahee, sab luterey is jhan mai,koi kuch pal baith key in aasoo ay apne haath geley karne wala or bol sake hai main hoo yahan, is dil key char kamro mai sirf dard,tanhaeo,mayusi ka saath hai or har pal bikao honey ke shakseyat honey key siway koi ehsaas nahe basta, yeh dil is mahfil mai sirf tanhaiyu key gharondey mai rehhta hua mayusi key odhani mai lipta hua ek chalti firti lash hai. uu toh phool hum mandir mai rakhtey hai pooja karney key liyey bhagwan key pairo mai , paar yahan too har raat unhey raonda jata hai. har koi darzano bar pyar ka iszar kartey hai or subah har koi apna sharafat ka potla utha key chaltey bante hai
thoda pareyshan hua mai or pocha ee dil tu yahan ruka keyu hai, keya wajah hai esey zillat bhari zandagi jeeney key liyey, dil muskuraya or thoda hassa bhi, or bola kudha nay ek cheesey dee hai or who hai paith jo har haal mai bharna hota hai. apna nahee to apno key lieyey jeena padta hai. mere ek chote see gudiya hai jiska naam "haya" hai jisko mujhey seechna hai,ek payara sa aaks hai jo mera khandha hai, mai hazzar maut markey bhi unkee hassi say hazzar baar phir phir jee othtete hoo.
phir terey jesa dost jo har waqt merey saath rehta hai,har baar jab rondha jati hoo to mujh ko samaithney ney wala ek haath tera hi toh hota hai. Is nangey rondhey huey murdey zism ko dhakney waley chadar ek teri hi to hotey hai, is murdey dil mai jaan dalney wala saksh tu hi to hai. Is bazaar mai ek tu hi to apna hai
jeeta hoo marney key liyey par maut say yeh guzarish hai ke abhi merey dahlez mai maat aana
bah phaila kar mujhey aksar bulate hai or boltey hai beta ab tu aaj mery goood mai or apna saar rakh key soo ja par jab meri gudiya ko dekhtey hai tho kudh hi pechey hat jatey hai yeh kehtey huey kee ee aman to apne zeenat ka khayal rakhna yeh bazaar hai is mai ghosh khaney walo key kamnee nahee
nikhah keya hota hai yeh jantey nahe yahan par har raat ya ah suhag ke seejh kee raat saman hi hote hai , jismai dulhal bani mai roz loot lee jate hoo,
Dharban bani mery tu pochtey hai har baar yehi mujh say is bazaar mai kai bar bikney key baad bhi tu ghabrai or sharmai keyu hai, dil apney assoo ko liptey huey aaso say bhari zor say hastey huey bola
Maula merey ,ek tawayaf ka kaam keya hota hai , thoda sa ,adab , thodi sharmahat, ,thodi ghabarat, agar esey ghaney uskey pass nahee to koi usey kharedey kaun, is bazaar mai, maai tabhi tak hoo zab tak meri jawani or haya hai, nahe toh orr bhi tutey tarey hai is bazaar mai.
Kuch pal rukkey smabltey huey mai bola kab tak akhir kab tak hum yahan raheygey
Dil bola,ey nadan dharkan, maa to kab say bula rahee hai, wo dekh dekhlez key bhar
Aaso ko smaetey huey bhahey phaley huey khadhee hai par zara pechey dekh 2 phool is gulistan mai ug gayey hai or is kichar mai wo merey kamal hai,unko taar loo phir aram say maa kee goood mai soo jaogee..
Dharkan muskurai or bole ke dil dekh tera khareddar aagaya hai ,chal ab ja kam par,
Dil muskuraya or bola shukriya yeh mua darr to gaya yahan say ab waqt agaya hai
Zeenat baech key roti laney ka…….
No comments:
Post a Comment