Sunday, November 22, 2009

Keyu Ki Nadan Hoo Mai

Nishabad hoo mai aaj, stabdh hoo hoo mai aaj, keyuki nadan hoo mai aaj
aakho mai name ka saar hai, hoto mai khoon kee nishan hai
Chahra masoom hai par phir bhi bejaan hai hoo mai
dikhaney mai khoobsoorat hoo mai paar dagdar daman hoo mai
keyuki nadan hoo mai….

sharer mai merey hawas key key kuch nishan hai
ruh mery maili hogayey hai , keyuki nadan hoo mai
rooj kai baar or baar baar nahati hoo mai , sharer ka maiile nikalte hoo mai par aatma ka maiil nahe nikalta, keyuki nadan hoo mai

rooj jeete hoo marney key liyey mai, jism bechti hoo mai paith bharney key liyey mai
keyuki nadan hoo mai , bhookhi rahtee hoo mai kaiyu key paith bharney key liyey mai
aasoo ko peetey hoo mai biknay key liyey mai, har shabadh mai rooti hoo mai hassney key liyey, roz neechey girtee hoo mai girney key liyey mai, keyuki naadan hoo mai ….

yuuu to chaand mai bhi daag hotey hai kai par meri churni hi bane daagoo kee
achal maila hai mera or zakhmi hai zameer mera aaj, keyu bejan pathar hoo mai,keyu nadan hoo mai…

rooz joor shoor say biktee hoo mai, esey bikao cheeze hoo mai
haar kesey kee hawas ka shikar bantey hoo mai, esey pyas hoo mai
akali hoo mai keyu ki naadan hoo mai

baap kee umar key loog nochtey hai mera jism too betey kee umar key loog bechtey hai bazaar mai mujhey baar baar kai baar, asso key chadar mai sooty hoo mai , dard key kapdey pahtey hoo, pal pal mai apno key liyey utertee hoo mai , rooz lutney key liyey taiyaar hote hoo mai, keyuki nadan hoo mai..
chahney waley kai hai merey paar apnaey waala koi nahee, betey kahkar sar pay haath pharney wala koi nahe,aasoo pochkar galey laganey wala koi bhai nahe mera, humko bhi insaan smajhney wala insaan nahee hai yahan pay,keyu ki mai nadan hoo mai…
phool hoo mai par rooz raat ko rondhi jatee hoo, roz mahaktey hoo mai badboo daar honey key liyey
haar lamho mai merey aaso kee barish hai or dard kee chhath hai , yahan merey duniya mai har ehasas bikta hai , uskee boli lagtee hai,zitney zayada boli yeh jism uspal key liyey uska,jesey zism nahe koi khaney ka saman ho yeh, rooz raat looti hoo mai khana khaney key liyey,keyuki nadan hoo mai.
kahtey hai kee haar raat kee subhah hotey hai paar mery zindagee hi shuru hotey hai raat say,ismai diya kee low nahee to din ka ujala khan,safeed chadar mai kali shayi lagaye rahtee hoo mai , keyuki nadan hoo mai…
gairoo say keya shikayat karo mai jab apney hi is bazaar mai merey kapdey utrwatey hai, unko keya kahoo jo apney ho kar mujhey lootey hai, unko kya kahoo joo mujhey bikta dekh kar bhi khana kha patey hai, unko keya kahoo mai jo mujhey loot ta dekh dukhi to hotey hai par kartey kuch nahee, ghar ka beta hoo mai par naam roshan nahee, ghar kee roshni hoo mai par kudh anderey mai jeetey hoo mai, haasti hoo din bhar raato mai par andar say haar pal maar maar key roti hoo mai, keyuki nadaan hoo mai….

bhawar mai fassi ek mamoli insaan hoo mai,ek looti hui hii sahee par ek insaan hoo mai
tutey huey gahdey ka bahta pani hii sahee par ek insaan hoo mai,waqt say hari ghadi hoo mai,par ek zinda laash hoo mai,dard say bhari sheeshi hoo mai,ziska dhakan kudh dard hai,akali hoo mai par sath hai kai loog merey,keyu ki naadan hoo mai..
keya kahoo apni vayatha ab mai , har ladki ka armaan hota hai suhagan baney ka ,par mai to har rooz bantee hai,ek raat kee suhagan hoo mai par patnee nahe kisey kee,rooz sootee hoo mai kanto key bistar mai,dard kaa sirhaney liey aasoo key pani key saath,keyuki nadan hoo mai…
bikao zaroor hoo mai,par hoo to mai bhi ek insaan,na karo nafrat mujsay,ek bhatki hui majboor insaan hoo mai, ab naadan nahe par ek hari hui hasti hoo mai,phir bhi kaho mai nadaan hoo mai…

No comments:

Post a Comment