Sunday, November 22, 2009

HUM TUM

Ashiquee ke zuban bolte hoo aaj, apna dil tumharey samney kholtey hoo mai
Dil key darwajey kholey hai sirf tumhareyliyey aaj , iss dharkan ko sirf tumharey lieyey dharakney izzazat dil hai mainey , mazi(means past) nahe hai mera koi terey sivay,
Sajdey kiyey kai hazzar khuda key darbar mai sahee, tha mujhey yeh yakeen maula
Merey hogey mujhpay jaan nissar or is pakeesa zindgee mai ek nake dil dilbhar bej dengey zaroor…

Barang see safaid zindagee mai aaj tumharey wajhah say rangeen khwab basey hai.
Kudh say zayada tujh pay yakeen hai, apney dil say zayada terey dil pay yakeen hai,
Jo tum na hotey is zindagee mai humarey to kab key bazaar ho chukey hotey hum is jahan say….

Ab to alam yeh hai humara kee kudh ko khudh say churaney ka dil karta hai, apney aap ko tumherey hawaley karney ko jee chahta hai, awaz deno ko jee chahta hai, ab to doli chad key terey ghar aney ko jee chahta hai, yaara merey yeh tuney keya kar dala kee apna naam leney say pahley tera naam yaad aajata hai.

Dil mai panah mat do mujhey yaara merey, mai to tery nazoro mai apna basera sajana chati hoo
Ashko ke kinarey apney chote see duniya basana chahti hoo, terey sarey ashak ashiyaney mai sajey
Marey, orr mery sarey khusiya sajey terey chahrey mai, bas ab to yehi dua karo kee sang terey hi jiyu or
Apni umar bhi tujhey dey jao, tanha ab rahtey banta nahee terey agosh mai najaney keyu zindagee guzarney ko jee chahta hai….

No comments:

Post a Comment